Hazaron khwahishein aisi,
ki har khwahish pe dum nikale.
Bahut nikale mere armaan
lekin...
fir bhi kum nikale.
Mohabbat mein nahi hai fark,
jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeete hain,
jis kaafir pe dum nikale.
Hazaron khwahishein....
Khuda ke vaste,
parda nakabe utha zalim.
Kahin aisa na ho yon hi,
Wahi kaafir sanam nikale.
Hazaron khwahisein...
Kahan maikhane ka darwaza ghalib,
aur kahan waaiz.
Par itna jaante hain,
kal.. wo jaata tha,
ke hum nikale.
Hazaron khwahishein.....
5 comments:
I really can't comment on this one.
My hands are tied.May be a translation would help.
Abe is naam ki to koi picture aa rahi hai na??
Yaar aane waali picture to ekdum sadi hai,ye to ek bahut purani ghazal hai,ghalib ne likhi hui.kaisi lagi?
Good one. Check out my blog
ghalib ke saath saath tu bhi poetry chaalu kar de,shayad tu ghalib type bore na kare? god knows
Post a Comment